Apnadas Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

EK Larki Kaa Dard

Go down

EK Larki Kaa Dard Empty EK Larki Kaa Dard

Post  adnanbahrian Sat Mar 14, 2009 5:18 pm

Ek din main akela ,sonch rah tha kuchh
Puri duniya ghum rahi thi aankhon me mere,
Kuchh to main dekh raha tha,kuchh to main sonch raha tha
Achanak mujhko qhyal aaya,kuchh mujhko yaad aaya

Silsila shuru huwa mere hi ghar se logon
Behan meri thi ghar pe aayi,aankhon me thi aansun laayi
Wah sisakti ro rahi thi,aankhen kuchh bol rahi thin
Ek shikayat thi aankhon me uske,shard lehar taari tha mujhpe

Baap bechara chup baitha tha,suni aankhen thi uski
Maa dilasa de rahi thi,par aankhen na kuchh bol rahi thi
Uski majbur aankhen hume ghur rahi thi,wah kuchh dhund rahi thi
Shayad pichle din yaad aa rahe then,jab hum sab mil kuchh ga rah the

EHSAAS yaaron tadap gaya tha,dhundh raha tha tanhayi main
Sab ko chhod main alag huwa,bahut tha mujhko dard huwa
Kya karta main majbur tha,khud se hi main dur tha
Ek nafrat ki chingari thi dil me,ek inteqam ki aag thi dil me

Phir maine khud ko samjhaya,dil bhi mere saath aaya
Maine ek AHED kiya,khud se khud ko maang liya
Kabhi laaunga kisi ko ghar me,bithaunga use khushi ke ghar mein
Ek ladki ka dard samajh raha tha,khud ke dard se jo mar raha tha
adnanbahrian
adnanbahrian
Admin

Posts : 262
Join date : 2009-02-24

https://apnadas.forumotion.com

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum